Thursday, June 30, 2016

Janiye Top Bollywood Stars Ka Struggling Period |




 Kya aap 5 se 10 saal tak wait kar sakte hai? Kya bina kaam ke aap Mumbai me survive kar sakte hai?
Fame itni aasani se nahi milta,khaskar ek Actor ko.Bahot sare jane mane Stars ko fame itni aasani se nahi mila hai,unhe bahot papad belne pade hai

Amitabh Bachchan,Shahrukh Khan,Madhuri Dixit,Nawazudin Siddiqui,Dharmendra,Boman Irani,jacky shroff,Boman Irani jaise bade Stars ko shuruaat me bahot pareshaniya jhelni padi hai.Unhe bahot baar reject kiya gaya.Unke liye itna aasan nahi tha Bollywood me apna makam banana.Unhone har rejection ko positively liya aur aaj wo successful Star hai.
In Stars me kisi ke paas to rehne ke ghar bhi nahi tha,aur naa hi do waqt ki roti.Lekin unhone in sab chizo ko bakhubi handle kiya,unke hasule ne aaj unhe kamyab Star bana diya.

 Chaliye Jante Hai Kuch Popular Stars Ke Struggle Ke Bareme :

1)Shahrukh Khan:


Film Deewana me Divya Bharti ke opposite sign kiye jane se pehle Bollywood ke Badshah Shahrukh Khan Hotel Oberoi ke paas sadak par soya karte the.Rehne ke liye jagah naa hone ki wajah se Shahrukh apni film Raju Ban Gaya Gentlemen ke director ke me bhi kuch reh chuke hai.Shahrukh ne apne film Kabhi Haan Kabhi Naa! ki tickets khud beche the. Wo apne struggling ke dino ko aaj bhi yaad karte hai.Unki mehnat aur unke sabr ne aaj unhe Superstar bana diya hai.Film DDLJ se unhe ek nayi pehchan mili.DDLJ ke baad Shahrukh ne lagatar hit pe hit di hai.

2)Amitabh Bachchan:

Sadi ke mahanayak Amitabh Bachhan ko ek radio company ne baar baar reject kiya,unka kehna tha ke unki awaz itni khaas nahi hai,aur aaj unki awaz hi unki pehchaan ban gayi.Amitabh Bachchan apne struggling ke dino me Marine drive ke bench par soya karte the.Amitabh Bachhan ne lagatar 12 flops di,fir unhe film Zanjeer ki wajah se attention mila.Big B ka ne 8 saal tak struggle kiya.

3)Madhuri Dixit:

Dhak Dhak Girl Madhuri Dixit ko shuruaat me kuch khaas attention Bollywood se nahi mila.Unho apne carrier ki shuruat film Abodh se ki thi,lekin unhe asli pehchan film Tezaab ne di.Kisi ne nahi socha tha ke wo itni badi Star banengi.Madhuri ka dance style aur unki ada ke hazaro log aaj bhi deewane hai.

4)Dilip Kumar:
Struggling ke dino superstar Dilip Kumar ke paas studio se ghar jaane tak ke paise nahi hote the.BCCI ke president Mr.PM Rungta unhe ghar jane ke liye paise diya karte hai.Unki behtreen adakari unki pehchan ban gayi.

5)Nawazuddin Siddiqui:

Nawazuddin ka janm kisaan ke ghar me hua tha,aur unhe 8 bhai bahen aur bhi hai. Nawazuddin ne apni padhayi puri karne ke baad chemist ki job ki. Paise ki kami ki wajah se unhe watchman ki bhi naukri karni padi.Nawazuddin ko unke dusky looks ki wajah se har baar reject kiya gaya.Nawazuddin ko film Sarfarosh me pehla role mila,Sarafarosh ke baad unhe apni jagah bollywood me banana 10 saal lag gaye.Gangs of Wasseypur unke liye turning point sabit hua. Ab bade bade Actors aur Directors unke sath kaam karna chahte hai.

6)Neha Dhupia:

Miss India Neha Dhupia ne apne shuraati daur me bahot mehnat ki hai, Neha ne kafi saalo tak models ko back stage help kiya,yaha tak ke unke joote bhi uthane pade. Unka manna hai ke kaam kaam hota hai,bada ya chhota nahi hota.

7)Akshay Kumar:

Khiladi Akshay Kumar Bangkok,Singapore aur India me hi Kapde aur kuch products sell kiya karte the.Agar unhe time milta to wo logo ko flat kharidne ya bechne me unki help karte,taki unhe mil sake.Akshay background dancer bhi reh chuke hai.Bahot kam log jante hai ke unhone apne carrier ki shuruaat Modeling se ki hai.

8)Rajnikanth:

Superstar Rajnikanth ko south me Bhagwan mana jata hai.Rajnikanth star banne se pehle Banglore me bus conductor ki job kiya karte the.Rajnikanth ne 9 saal tak stuggle kiya apna carrier film industry me banane ke liye.

9)Irrfan Khan:

Irrfan Khan ne bhi kuch kam struggle nahi kiya,baat struggling ki ho to Irrfan ka naam aata hi hai.Carrier ke shuruaat me unhone kuch films bhi ki thi jiske liye unhe paise bhi nahi diye gaye.Producer ne yeh tak keh diya ke jiss tarah ka Irrfan Khan ka kaam hai uske to koi paise bhi nahi bante. Lekin aaj unki acting ne unhe dusro se behtar sabit kardiya.

10)Sonu Sood:

Soonu Sood kuch dino pehle film city me shoot kar rahe the,unhone ek bataya ke unhe ek baar film city me entry milne ke liye unhe rishwat tak deni padi thi.Sonu ne carrier ki shuraat modeling se ki ,aur unka struggling period 8 saal ka tha.


11)Govinda:

Govinda Virar k ek chawl me raha karte the.Govinda roz Rajshri Studio ke chakkar lagaya karte the,unhe har baar reject kardiya jata ye kehkar ke unki umr bahot kam hai.Govinda ne ek showreel banayi jisme unhone dancing aur acting ki aur production house ko dikhaya aur wo star ban gaye.Govinda ko 8 saal lag gay ek achha break milne ke liye.

12)Manoj Bajpai:

Manoj bajpayi ke paas paise nahi hua karte the,isliye serial Swabhiman me kaam karne taiyyar hogye.Swabhiman ke liye bajpai ko Rs.2000 mila karte the. Bajpayi ka struggling period 7 saal ka tha.

13)Jackie Shroff:

Ek star banne ke pehle,Jackie teen batti chawl me apna guzara kiya karte the.Studio ya production house jane ke liye wo local train se safar kiya karte the aur kabhi kabhi paidal bhi jana padta tha.Ek role milne ke liye unhe 6 saal lag gaye.

14)Boman Irani

Boman Irani ek actor banne se pehle Taj hotel me waiter ka kaam kiya karte the aur apne maa ke bakery shop me wafers bhi sale kiya karte the.Boman ko film Munna Bhai MBBS se fame mila hai tab unki umr 44 saal thi.Acting carrier ke liye Boman ne 5 saal tak struggle kiya hai.

15)Zeenat Amaan:

Film Hare Rama Hare Krishna  hit hone se pehle,Zeenat Aman ke sari films ek ke baad ek flop hoti rahi.Zeenat Aman ne apni maa ke sath Germany jane ka tak plan karliya tha. Unka struggling period 4 saal ka tha.

16)Arshad Warsi:

Apne comedy se hame entertain karne wale Arshad Warsi Bollywood me aane se pehle door to door jake cosmetics sale kiya karte the,tab Arshad ki umr sirf 17 saal hi thi.Arshad ne 10th Standard ke baad padhayi chhod di thi. Arshad ka struggling period 7 saal ka tha




Note: Aur Bahot sare Stars hai jisne kafi struggle kiya hai Bollywood me apni pehchan banana ke liye. Koi bhi ek raat me Star nahi ban sakta,uske liye mehnat aur sabr hona bahot zaruri hai.

No comments:

Post a Comment