Sunday, September 18, 2016

Aise Karne Se Ho Sakte Hai,Role Milne Ke Chances Kam!!

Audition Room Me Kya Kare Aur Kya Naa Kare?Kya Aap Aapke Behaviour Ki Wajah Se Chance Kho Dena Chahte Ho?


Follow Kare Kuch Steps,Jo Apko Ek Behtar Actor Bana Sakta Hai..

1.Smile: Jab aap audition room me enter ho to face par smile honi chahiye,bhale hi apke koi personal problems kyu na ho.After all aap ek actor ho,to ateast khush hone ka drama to kar sakte ho.


2.Dress Code: Aapko audition details agar pehle se mili hui ho,aur dress code mention kiya hua ho,to diya hua dress code hi follow kare.Agar aap unke conditions ke hisab se apke outfits carry na kare,to ho sakta hai unhe lage ke aap sirf aise hi auditions dene aagye ho.Aur agar dress code mention kiya hua na ho,toh koi decent sa costume pahenle,jisme aap comfortable mehsus kare aur aap par suit ho.

3.Excuses: Agar aap audition ke liye kisi wajah se late ho jate ho,to ek sorry me kya bigadta hai.Bahane mat batao ke petrol khatm ho gaya tha,taxi nahi mil rahi thi,raat me thikse nind nahi hui thi ya traffic bahot tha.Apke excuses unke kisi kaam ke nahi hai.Say Sorry!

4.Respect: Aap ka bhale hi aaj achha din naa ho,aapko sabki respect karna chahiye.Agar aap unki respect nahi karonge toh apki bhi koi respect nahi karenga.Jo actors audition room me ho,unki bhi respect karna zaruri hai.Aur chhoti chhoti baat par thanks kare.

5.Dont Lie: Hamesha aisa hota hai ke ek role ke liye actors haa me haa mila lete hai.Jaise apko horse riding ya stunt nahi aati ho,toh directly kaho ke nahi aati hai,ek jhut se apko wo role shayad mil jayenga,lekin jab aap set par jaonge aur apko stunt karna nahi ayenga,to aapko replace bhi kiya jaa sakta hai

6.Criticize: Agar apko jo script di gyi ho,aur aapko script pasand nahi aati ho,toh aisa mat kaho ke apko wo script pasand nahi,ya unke lightning system thik nahi hai,ya camera man thikse record nahi kar raha hai,agar aap aisa karte ho to wo bahot unprofessional lagenga.

7.Confidence: Apni lines achhe se yaad karne ke baad aur script ko samajhne ke baad,jab aap camera ke samne jo toh aap confident nazar aana chahiye.Bhul jao ke role milenga ya nahi milenga,ye sochke perform karo ke muje mera best dena hai,aur sirf perform karna hai aur entertain karna hai.

8.Be Professional: Aapka auditions agar hogaya ho,to waha ruk ke timepass naa kare.Apke sath jo dusre actors aaye hue hai,unse zyada discuss na kare.Ho sakta hai ke apko director ne apko cast karne ka sochliya ho,aur aapke behavior ki wajah se mann badal diya ho apko cast karne ka.Audition hone k baad casting directors ya cordinators se be matlab ke sawal na puchhe.

9.Frustation: Aapne audition diya aur apko agar unka call back nahi aata hai,toh baar baar unhe call ya email karke pareshan naa kare.Kahi baar aisa hota hai ke saalo baad bhi apko bulaya jata hai,agar aap aisa kuch karte ho,toh shayad apko cast karne k chances kam honge,toh thoda sabr karle.



                                                                  Good Luck & Subscribe