Monday, October 28, 2019

Actions Plan -Only For Actors





Actions Plan Sirf Actors Ke Liye:

1) In Productions houses ke paas jaane se pehle,inke bareme thoda research zarur karle,jaise reviews,ratings aur reputation.

2)Portfolios,Resume aur Video Introduction apne sath hi rakhe.

3)Agar Email Id diya gaya ho,to sabhi ko apni pictures aur details send kare,aur unke reply aane ki ummid bilkul bhi naa kare.Aise content apne email me naa dale,jisse directors ko problem ho ya napasand ho.Keep it simple!

4)Bollywood me apni jagah banana hai,to ek achha network banana bhi utna hi zaruri hai.Jab Bhi kisi director se milo tab apne ego or attitude ko door hi rakhna chahiye.
5)Apka ticket to bollywood, production houses ke asistants,gatekeepers,security guards hai,unki bhi respect kare,aur unke sath achhe se behave kare.

6)In production houses me se daily kisi 2 ya 3 production houses ko visit de.Har 15 days ke baad wahi production houses jaye.Isse apko ek idea aayega,ke industry me kya chal raha hai aur unke aane wale konse projects hai.

7) Muje ek chance dedo,muje star banado,muje kaam dedo, iss tarah ke request karna bekar hai.Agar aapme talent hai, aur aap uss character ke liye fit ho, to apko mauka zarur milega.

8) Auditions dene ke baad casting directors ko baar baar call ya sms karke irritate na kare, ke aap select hue bhi ya nahi ye janne k liye.

9) Koi agar apse apko role dilane ke liye paise mange, to samajh lijiye ke wo fruad hai. Aur thoda logic lagaye, ke jo sachme bada director hoga ya sachme mauka dega film me acting karne ke liye, wo aapke chand paiso se kya karega.Satark rahe, aise kahi mamle samne aate hai.

10) Auditions dete hai, isse apki skills behtar hogi, aur confidence bhi buildup hoga. Kahi baar actors ko saalo baad bhi call aata hai, isliye thoda sabr karna bhi zaruri hai.

Good Luck!!